Insha Allah Khan 'Insha'

pakDi kisi se jawe nasim aur saba bandhe

Insha Allah Khan 'Insha'

Murshidabad, West Bengal, India

1753-1817
pakḌī kisī se jaave nasīm aur sabā bañdhe
maulā kare kuchh apnī bhī ab to havā bañdhe
āshiq ko boġh-band meñ bāñdhā hai us ne yuuñ
tā ho ke dast-e-buqcha meñ jaise qabā bañdhe
yuuñ duud aah kā mirī gumbad bañdhā hai yaañ
chhat jaise abr-e-tīra kī tahtassamā bañdhe
Tuk aalam ai junūñ tū dikhā vo ki jis se saaf
lāhūt kā samāñ mirī ā.ankhoñ meñ aa bañdhe
sarmā ghulā ke ā.ankhoñ meñ niklā na kījiye
aisā na ho ki aap pe kuchh tūtiyā bañdhe
qudrat ḳhudā ke dekho ki chorī to ham kareñ
aur ulTe dast-gīr ho duzd-e-hinā bañdhe
aljheḌe meñ phañse the tirī zulf ke so vo
ulTe Tañge asiir hue bārhā bañdhe
'inshā' sad-āfrīñ tire zehn-e-salīm ko
mazmūñ ziyāda is se bhalā aur kyā bañdhe
Top Urdushayar.com