na to kaam rakhiye shikār se na to dil lagā.iye sair se
bas ab aage hazrat-e-ishq-jī chale jā.iye ghar hī ko ḳhair se
vo jo guTkā paare kā muñh meñ le paḌe uḌte phirte haiñ jogī-jī
so to bhartpur se udaas ho chale aa.e qila-e-dair se
nahīñ hote aam ke rū-ba-rū hameñ qibla ḳhaas hai aarzū
ki ḳhudā kare paḌe guftugū kisī pīr-o-murshid-e-dair se
kaho kis vasīle se shaiḳh ke shak-o-shub.h hove kamāl meñ
ki jo ne.amat aap ko pahuñchī hai so miyāñ-ġhulām-zubair se
jo ḳhafā hue to hue ajī jo laḌe-bhiḌe to laḌe sahī
gila hai so yār-e-azīz se na ki shikva sūrat-e-ġhair se
mujhe ik hayāt dobāra de usī qudrat apnī se ai ḳhudā
ki ḳhitāb-e-fiqra-e-kam-libast kiyā thā jin ne uzair se
vo jo hai alī-e-valī vasī hai mohammad-e-arabī aḳhī
so tū abd-e-ḳhās-e-karīm hai use dushmanī hai nusair se
yahī chaal apnī hai 'inshā' ab kabhī to daraḳhtoñ se ḳhalte haiñ
kabhī hai sabā se ḳhitāb kuchh kabhī vahsh se kabhī tair se