tujh se yuuñ yak-bār toḌūñ kis tarah
maiñ qadam tere ye chhoḌūñ kis tarah
ghar se bābar tū na niklā tā-hanūz
tere dar par sar na phoḌūñ kis tarah
mai se taa.ib thā va-lekin aaj pī
haath lag jaave to chhoḌūñ kis tarah
ābrū-e-abr yaañ manzūr hai
aah maiñ dāman nichoḌūñ kis tarah
saaf dil kyūñ-kar karūñ tujh se bhalā
TuuTī ulfat phir ke joḌūñ kis tarah
shauq se tū haath ko mere maroḌ
maiñ tirā panjā maroḌūñ kis tarah
vaqt bosa ke ye 'inshā' se kahā
tujh se maiñ phir muñh na moḌūñ kis tarah