Insha Allah Khan 'Insha'

dhum itni tere diwane macha sakte hain

Insha Allah Khan 'Insha'

Murshidabad, West Bengal, India

1753-1817
dhuum itnī tire dīvāne machā sakte haiñ
ki abhī arsh ko chāheñ to hilā sakte haiñ
mujh se aġhyār koī aañkh milā sakte haiñ
muñh to dekho vo mire sāmne aa sakte haiñ
yaañ vo ātish-e-nafasāñ haiñ ki bhareñ aah to jhaT
aag dāmān-e-shafaq ko bhī lagā sakte haiñ
sochiye to sahī haT-dharmī na kiije sāhab
chuTkiyoñ meñ mujhe kab aap uḌā sakte haiñ
hazrat-e-dil to bigāḌ aa.e haiñ is se lekin
ab bhī ham chāheñ to phir baat banā sakte haiñ
shaiḳhī itnī na kar ai shaiḳh ki rindān-e-jahāñ
uñgliyoñ par tujhe chāheñ to nachā sakte haiñ
tū giroh-e-fuqarā ko na samajh be-jabrūt
zāt-e-maulā meñ yahī log samā sakte haiñ
dam zarā saadh ke lete haiñ pharerī to abhī
suun khīñchī huī lāhūt ko jā sakte haiñ
garche haiñ mūnis-o-ġham-ḳhvār tag-o-dau meñ sahī
par tirī tab.a ko kab raah pe lā sakte haiñ
chārasāz apne to masrūf-e-badal haiñ lekin
koī taqdīr ke likkhe ko miTā sakte haiñ
hai mohabbat jo tire dil meñ vo ik taur pe hai
ham ghaTā sakte haiñ is ko na baḌhā sakte haiñ
kar ke jhūTā na diyā jaam agar tū ne to chal
maare ġhairat ke ham afyūn to khā sakte haiñ
ham-nashīñ tū jo ye kahtā hai ki qadġhan hai bahut
ab vo āvāz bhī kab tujh ko sunā sakte haiñ
ai na āvāz sunāveñ mujhe dar tak aa kar
apne paañv ke kaḌoñ ko to bajā sakte haiñ
ham to hañste nahīñ par aap ke hañsne ke liye
aur agar saañg nahīñ koī banā sakte haiñ
kaalī kāġhaz kī abhī ek katar kar bechā
zāhid-e-bazm ke muñh par to lagā sakte haiñ
ghar se bāhar tumheñ aanā hai agar man.a to aap
apne koThe pe kabūtar to uḌā sakte haiñ
jhūlte haiñ ye jo jholī meñ so kahte haiñ mujhe
ek va.ade pe tujhe barsoñ jhulā sakte haiñ
ek Dhab ke jo qavāfī haiñ ham un meñ 'inshā'
ik ġhazal aur bhī chāheñ to sunā sakte haiñ
Top Urdushayar.com