zaḳhm khāne se yā koī dhoka khāne se huā
baat kyā thī maiñ ḳhafā jis par zamāne se huā
ek pal meñ ik jagah se itnā raushan āsmāñ
koī taara bante bante TuuT jaane se huā
sochtā rahtā huuñ maiñ aksar ki āġhāz-e-jahāñ
din banāne se ki pahle shab banāne se huā
maiñ ġhalat yā tum ġhalat the chhoḌo ab is baat ko
honā thā jo kuchh vo jaise ik bahāne se huā
kuchh zamāne kī ravish ne saḳht mujh ko kar diyā
aur kuchh bedard maiñ us ko bhulāne se huā
baat saarī asl meñ ye thī maiñ us se bad-gumāñ
ik ta.alluq meñ kahīñ pe shak ke aane se huā
bach hī niklā huuñ maiñ jaaḌe kī baḌī yalġhār se
garm ab ke ghar badan kā ḳhas jalāne se huā
kyā kahūñ merī giraftārī kā koī ehtimām
kaise zer-e-dām rakkhe ek daane se huā
umr bhar kā ye jo hai 'shāhīñ' ḳhasāra ye mujhe
ek saude meñ koī nekī kamāne se huā