mil ga.e par hijāb baaqī hai
fikr-e-nāz-o-itāb baaqī hai
baat sab Thīk-Thāk hai pa abhī
kuchh savāl-o-javāb baaqī hai
garche ma.ajūn khā chuke lekin
daur-e-jām-e-sharāb baaqī hai
jhūTe va.ade se un ke yaañ ab tak
shikva-e-be-hisāb baaqī hai
gaah kahte haiñ shaam huuī abhī
zarra-e-āftāb baaqī hai
phir kabhī ye ki abr meñ kuchh-kuchh
partav-e-māhtāb baaqī hai
hai kabhī ye ki tujh pe chhiḌkeñge
jo lagan meñ shahāb baaqī hai
aur bhaḌke hai ishtiyāq kī aag
ab kise sabr-o-tāb baaqī hai
uḌ ga.ī niiñd aañkh se kis kī
lazzat-e-ḳhurd-o-ḳhvāb baaqī hai
hai ḳhushī sab tarah kii, nāhaq kā
ḳhatra-e-inqalāb baaqī hai
hai vo dil kī dhaḌak so juuñ kī tuuñ
jī par us kā azaab baaqī hai
jo bharā shīsha thā huā ḳhālī
par vo bū-e-gulāb baaqī hai
apnī ummīd thī so bar aa.ī
yaas shakl-e-sarāb baaqī hai
hai yahī Dol jab tak āñkhoñ meñ
dam basān-e-habāb baaqī hai
misl-e-farmūda-e-huzūr 'inshā'
phir vahī iztirāb baaqī hai