Insha Allah Khan 'Insha'

Tuk aankh milate hi kiya kaam hamara

Insha Allah Khan 'Insha'

Murshidabad, West Bengal, India

1753-1817
Tuk aañkh milāte hī kiyā kaam hamārā
tis par ye ġhazab pūchhte ho naam hamārā
tum ne to nahīñ ḳhair ye farmā.iye baare
phir kin ne liyā rāhat-o-ārām hamārā
maiñ ne jo kahā aa.iye mujh paas to bole
kyuuñ kis liye kis vāste kyā kaam hamārā
rakhte haiñ kahīñ paañv to paḌte haiñ kahīñ aur
saaqī tū zarā haath to le thaam hamārā
Tuk dekh idhar ġhaur kar insāf ye hai vaah
ho jurm o gunah ġhair se aur naam hamārā
ai bād-e-sabā mahfil-e-ahbāb meñ kahiyo
dekhā hai jo kuchh haal tah-e-dām hamārā
gar vaqt-e-sahar jā.iye hotā hai ye irshād
hai vaqt-e-mulāqāt sar-e-shām hamārā
phir shaam ko aa.e to kahā sub.h ko yūñhī
rahtā hai sadā aap par ilzām hamārā
sar-gashtagi-e-marhala-e-shauq meñ ai ishq
paḌtā hai na.ī vaz.a se har gaam hamārā
ai barhamn-e-dair mohabbat meñ sanam kī
allāh hī baaqī rakhe islām hamārā
ham kūcha-e-dildār ke hote haiñ tasadduq
ai sheḳh-e-haram hai yahī ehrām hamārā
betābi-e-dil ke sabab us shoḳh tak 'inshā'
pahuñche hai bilā vāsta paiġhām hamārā
Top Urdushayar.com