Insha Allah Khan 'Insha'

gali sahi ada sahi chin-e-jabin sahi

Insha Allah Khan 'Insha'

Murshidabad, West Bengal, India

1753-1817
gaalī sahī adā sahī chīn-e-jabīñ sahī
ye sab sahī par ek nahīñ kī nahīñ sahī
marnā mirā jo chāhe to lag jā gale se Tuk
aTkā hai dam mirā ye dam-e-vāpsīñ sahī
gar nāznīñ ke kahne se maanā burā ho kuchh
merī taraf ko dekhiye maiñ nāznīñ sahī
kuchh paḌ gayā hai aañkh meñ ronā kahe hai tū
kyuuñ maiñ abas ko bahsūñ yahī dil-nashīñ sahī
aage baḌhe jo jaate ho kyuuñ kaun hai yahāñ
jo baat ham ko kahnī hai tum se yahīñ sahī
manzūr dostī jo tumheñ hai har ek se
achchhā to kyā muzā.eqa 'inshā' se kiiñ sahī
Top Urdushayar.com