Insha Allah Khan 'Insha'

yan zaKHmi-e-nigah ke jine pe harf hai

Insha Allah Khan 'Insha'

Murshidabad, West Bengal, India

1753-1817
yaañ zaḳhmī-e-nigāh ke jiine pe harf hai
hai dil par apne zaḳhm ki siine pe harf hai
zar-ḳharchiyāñ kahāñ talak apnī bayāñ kareñ
qārūn kī bhī yaañ to ḳhazīne pe harf hai
milte the chauthe pāñchveñ vo vaqt to gayā
ab ye ki chaar pāñch mahīne pe harf hai
kyā daḳhl vo jo haath se mere piyeñ sharāb
vaañ kahte kahte baat bhī piine pe harf hai
tūfān-e-ashk 'nūh'-alaihissalām se
bolā ki aap ke bhī safīne pe harf hai
nā-chīz aap jānte haiñ is qadar mujhe
ulfat to jaave bhaaḌ meñ kiine pe harf hai
nāseh jigar ke zaḳhm ko jarrāh kyā siye
yaañ sozan-e-masīh ke siine pe harf hai
yaañ har bun-e-masām meñ ḳhūnāba hai ravāñ
nikle to ḳhuuñ hī nikle pasīne pe harf hai
'inshā' kī mohr paḌhiye bhalā āshnā huā
kandīda koī is ke nagīne pe harf hai
ab dhyān kar ke dekhiye kyā hai gaThā huā
is kā har ek apne qarīne pe harf hai
Top Urdushayar.com