yās-o-umīd-o-shādī-o-ġham ne dhuum uThā.ī siine meñ
ḳhuub mujhe hai aaj dhamā-dham mār-kuTā.ī siine meñ
diid kiyā jo vādī-e-majnūñ ham ne dhun meñ vahshat ke
shakl mujassam ho ke junūñ kī aan samā.ī siine meñ
shaiḳh-o-barhaman dair-o-haram meñ DhūñDhte ho kyā lā-hāsil
muuñd ke āñkheñ dekho to hai saarī ḳhudā.ī siine meñ
qahr kiyā ye tum ne sāhab aañkh laḌānā aafat thā
jhaT-paT dil ko phūñk diyā aur aag lagā.ī siine meñ
hazrat-e-dil to kab ke sidhāre ḳhuub jo DhūñDā 'inshā' ne
ek dhuāñ sā aah kā uTThā ḳhaak na paa.ī siina meñ