Insha Allah Khan 'Insha'

mil mujhse ai pari tujhe quran ki qasam

Insha Allah Khan 'Insha'

Murshidabad, West Bengal, India

1753-1817
mil mujh se ai parī tujhe qur.ān kī qasam
detā huuñ tujh ko taḳht-e-sulaimān kī qasam
karr-o-bayoñ kī tujh ko qasam aur arsh kī
jibrīl kī qasam tujhe rizvān kī qasam
tuubā kī salsabīl kī kausar ke jaam kī
hūr-o-qusūr-o-jannat-o-ġhilmān kī qasam
rūhul-qudus kī tujh ko qasam aur masīh kī
mariyam ke tujh ko iffat-e-dāmān kī qasam
tauret kī qasam qasam injīl kī tujhe
tujh ko qasam zabūr kī furqān kī qasam
tujh ko mohammad-e-arabī kī qasam hai aur
maulā-alī kī shāh-e-ḳhurāsāñ kī qasam
millat meñ jis kī tū huī us kī qasam tujhe
aur apne diin maz.hab-o-īmān kī qasam
dāmāñ ko merī haath se us raat mat jhaTak
tujh ko sahar ke chāk-e-garebān kī qasam
muddat se terī chāh-e-zaqan meñ ġharīq huuñ
billāh mujh ko yūsuf-e-kan.ān kī qasam
qaidī huuñ maiñ tirā ba-ḳhudā-vandī-e-ḳhudā
aur us azīz-e-misr ke zindān kī qasam
muusā kī hai qasam tujhe aur koh-e-tūr kī
nūr-o-faroġh-e-jalva-e-lam.ān kī qasam
nargis kī aañkh kī qasam aur gul ke kaan kī
tujh ko sar-e-azīz-e-gulistān kī qasam
tujh ko qasam hai ġhuncha-e-zambaq ke naak kī
aur shor-e-andalīb-e-ġhazal-ḳhvān kī qasam
sone kī gaa.e kī qasam aur rūd-e-nīl kī
fir.aun kī qasam tujhe hāmān kī qasam
bistar mirā hai ḳhār-e-muġhīlāñ basān-e-qais
lailā kī hai tujhe saf-e-mizhgān kī qasam
aisī baḌī qasam bhī na maane to hai tujhe
tujh ko usī ke shaukat-e-zīshān kī qasam
dev-e-safed kī qasam aur koh-e-qāf kī
bāġh-e-iram kī aur paristān kī qasam
lonā-chamārī kī qasam aur kallū-abīr kī
kālī-balā kī ġhūl-e-bayābān kī qasam
qasmeñ to saarī ho chukīñ baaqī rahī hai ab
pīpal tale ke bhutne kī shaitān kī qasam
haañ phir tū kahiyo haa.e vo kis tarah ho.e ġhazab
'inshā' na chheḌ mujh ko mirī jaan kī qasam
Top Urdushayar.com