mirī kār-gāhh-e-dil meñ abhī kaam hai zyāda
koī chiiz ik jagah se zarā ḳhaam hai zyāda
kisī manzar-e-shafaq ko kahāñ aañkh meñ jagah duuñ
mire ḳhūn-e-dil se rañgīñ mirī shaam hai zyāda
ghaḌī-bhar Thaharne vaale zarā ye ḳhayāl rakhnā
ye jo sāya-e-shajar hai koī daam hai zyāda
mirā mashvara yahī hai isī rāste se jaanā
baḌā saaf hai agarche ka.ī gaam hai zyāda
paḌe haiñ bahut se mere abhī kaam nā-mukammal
koī bojh jaate din par sar-e-shām hai zyāda
koī jurm dūsre kā mirā ban gayā hai kaise
tirī fard-e-jurm meñ kyuuñ mirā naam hai zyāda
kabhī kūcha-e-talab meñ kabhī rāh-e-zar-garī par
tirā kār-e-husn ab kuchh sar-e-ām hai zyāda
tirī aañkh meñ jo 'shāhīñ' labālab bharā huā hai
kisī ik taraf se ḳhālī vahīñ jaam hai zyāda