vo jo shaḳhs apne hī taaḌ meñ so chhupā hai dil hī kī aaḌ meñ
na vo bastī meñ na ujaaḌ meñ na vo jhaaḌ meñ na pahāḌ meñ
mujhe kaam tujh se hai ai junūñ na kahūñ kisī se na kuchh sunūñ
na kisī kī radd-o-qadah meñ huuñ na ukhāḌ meñ na pachhāḌ meñ
ye sabā ne qais se aa kahā ki sunā kuchh aur bhī mājrā
tire paas se jo chalā gayā to khaḌā hai naaqa ujaaḌ meñ
are aah tū ne ġhazab kiyā mire dil ko mujh se tuḌā liyā
mirī jī ko le ke jalā diyā paḌī iḳhtilāt ye pahāḌ meñ
ḳhafagī bhī turfa hai ek shai paḌe qisse hote haiñ lākhoñ tai
vo kahāñ milāp meñ lutf hai jo maza hai un kī bigāḌ meñ
mizha par hai pārā-e-dil thañbā vo masal huī hai ab ai ḳhudā
ki daraḳht se jo kabhī girā to vo aTkā un ke hī jhaaḌ meñ
kahīñ khiḌkiyoñ kī taraf bañdhī mirī TikTikī to ai lo abhī
gul-e-nargis aa ke lagā ga.ī vo parī har ek darāḌ meñ
mirī dil meñ nashshe kā hai makāñ mujhe sūjhtī haiñ vo mastiyāñ
ki khajūrī choTiyoñ vāliyāñ paḌī phirtī haiñ mire taaḌ meñ
baḌī dāḌhiyoñ pe na jā dilā ye sab āhūoñ kī haiñ mubtalā
ye shikār kaise haiñ barmalā inhīñ TaTTiyoñ kī to aaḌ meñ
khaḌī jhāñktī hai vahī parī nahīñ shub.h is meñ to vāqa.ī
vo jo itr-e-fitna kī baas thī so rachī huī hai kivāḌ meñ
na kar apnī jaan ko muzmahil are 'inshā' un se lagā na dil
tū digar na hovegā munfa.il kahīñ aa gayā jo latāḌ meñ