Insha Allah Khan 'Insha'

shab KHwab mein dekha tha majnun ko kahin apne

Insha Allah Khan 'Insha'

Murshidabad, West Bengal, India

1753-1817
shab ḳhvāb meñ dekhā thā majnūñ ko kahīñ apne
dil se jo karāh uTThī lailā ko liyā tap ne
dekhe tire jalva ko bāmhan kī jo beTī bhī
muñh se vahīñ kalme ko yakbār lage japne
hai jins parī sā kuchh aadam to nahīñ aslan
ik aag lagā dī hai us amard-e-ḳhush-gap ne
is tarah ke milne meñ kyā lutf rahā baaqī
ham us se lage rukne vo ham se lagā chhapne
hañgām-e-suḳhan-sanjī ātish kī zabānī ko
sharminda kiyā ai dil us shoḳh ke gap-shap ne
har amr meñ duniyā ke maujūd jidhar dekho
aadam ko kiyā hairāñ shaitān kī lap-jhap ne
garmī se mire dil kī is mausam-e-sarmā meñ
ye gumbad-e-gardūñ bhī yakbār lagā tapne
rah vādī-e-aiman kī letā huuñ ki ghabrāyā
is dil kī badaulat yaañ mujh ko taraf-e-chap ne
hai ham se bhī ho saktā jo kuchh na kiyā hogā
majnūñ se jafā-kash ne farhād se sar-khap ne
chal haT bhī pare bijlī dal bādaloñ ko le kar
dahlā hai diyā terī talvāroñ kī shap shap ne
kab tak na karāhūñ maiñ naala na bharūñ kyūñ-kar
maiñ kyā karūñ ai 'inshā' ab jī hī lagā khapne
Top Urdushayar.com