ye nahīñ barq ik farañgī hai
ra.ad-o-bārāñ fusūn-e-jañgī hai
koī duniyā se kyā bhalā māñge
vo to bechārī aap nañgī hai
vaah dillī kī masjid-e-jāme
jis meñ burrāq farsh-e-sañgī hai
hausla hai farāḳh rindoñ kā
ḳharch kī par bahut sī tañgī hai
lag ga.e aib saare us ke saath
yuuñ kahā jis ko mard bangī hai
Daro vahshat ke dhūm-dhām se tum
vo to ik devnī dabangī hai
jogī-jī sāhib aap kī bhī vaah
dharm mūrat ajab ko Dhañgī hai
aap hī aap hai pukār uThtā
dil bhī jaise ghaḌī farañgī hai
chashm-e-bad-dūr shaiḳh-jī sāhib
kyā izaar aap ke uTañgī hai
shaiḳh-sādī-e-vaqt hai 'inshā'
tū 'abū-bakr-sād' zañgī hai