yā vasl meñ rakhiye mujhe yā apnī havas meñ
jo chāhiye so kījiye huuñ aap ke bas meñ
ye jā-e-tarahhum hai agar samjhe tū sayyād
maiñ aur phañsūñ is tarah is kunj-e-qafas meñ
aatī hai nazar us kī tajallī hameñ zāhid
har chiiz meñ har sañg meñ har ḳhaar meñ ḳhas meñ
har raat machāte phireñ haiñ shauq se dhūmeñ
ye mast-e-mai-e-ishq haiñ kab ḳhauf-e-asas meñ
kyā pūchhte ho umr kaTī kis tarah apnī
juz dard na dekhā kabhū is tiis baras meñ
har baat meñ ye jaldī hai har nukte meñ isrār
duniyā se nirālī haiñ ġharaz terī to rasmeñ
dushman ko tire gāḌūñ maiñ ai jān-e-jahāñ bas
tū mujh ko dilāyā na kar is taur kī qasmeñ
'inshā' tire gar gosh asam hoñ na to aave
āvāz tire yaar kī har bāñg-e-jaras meñ