Insha Allah Khan 'Insha'

amrad hue hain tere KHaridar chaar panch

Insha Allah Khan 'Insha'

Murshidabad, West Bengal, India

1753-1817
amrad hue haiñ tere ḳharīdār chaar pāñch
de aise aur haq mujhe aġhyār chaar pāñch
jab gudgudāte haiñ tujhe ham aur Dhab se tab
sahte haiñ gāliyāñ tirī nā-chār chaar pāñch
kal yuuñ kahā ki Tuk tū Thahar le to bole aap
haiñ muntazir mire sar-e-bāzār chaar pāñch
o jaane vaale shaḳhs Tuk ik muḌ ke dekh le
yaañ bhī taḌap rahe haiñ gunāhgār chaar pāñch
sayyād le ḳhabar ki diyā chāhte haiñ jaan
kunj-e-qafas meñ taaza giraftār chaar pāñch
myaañ ham bhī koī qahr haiñ jab dekho tab liye
baiThe haiñ apne paas trahdār chaar pāñch
chupke se tum jo kahte ho haiñ apne āshnā
sho.ala bhabhūke aur dhuāñ-dhār chaar pāñch
har ek un se shoḳh hai kyā ḳhuub baat ho
lag jaa.eñ tere haath jo yak-bār chaar pāñch
tū un ko chaah chhoḌ mujhe vāchhaḌe che-ḳhush
rakkhe haiñ mere vāste dildār chaar pāñch
hai kaam ek hī se vo chūlhe meñ sab paḌeñ
sadqe kiye the aise vo finnār chaar pāñch
sāhib tumhīñ tumhīñ nahīñ hargiz nahīñ nahīñ
mujh ko nahīñ nahīñ nahīñ darkār chaar pāñch
'mīr' o 'qatīl' o 'mus.hafī' o 'jur.at' o 'makīñ'
haiñ shā.eroñ meñ ye jo numūdār chaar pāñch
so ḳhuub jānte haiñ ki har ek rañg ke
'inshā' kī har ġhazal meñ haiñ ash.ār chaar pāñch
Top Urdushayar.com