bagūle bahut haiñ mirī ghaat meñ
ghirā huuñ ajab dasht-e-hālāt meñ
kabhī ḳhuuñ se rañgīñ bhī ho chashm-e-tar
dhanak bhī nazar aa.e barsāt meñ
kisī dard kī aañch de kar parakh
chamaktī hai ik shai mirī zaat meñ
lakīroñ kā har silsila be-karāñ
khule pāniyoñ kā safar haat meñ
vahī terī āñkhoñ ke hairat-kade
vahī maiñ jahān-e-tilismāt meñ
siyah ghar kī bīmār zau se nikal
zarā ghūm-phir chāñdnī-rāt meñ
bichhā hai kahīñ zehn meñ daam sā
phaḌaktā hai koī ḳhayālāt meñ
bajā narmī-e-lafz 'shāhīñ' magar
liye phir koī sañg bhī haat meñ