Javed Shaheen

tayyar bahut mauj rawani ke liye hai

Javed Shaheen

Amritsar, Punjab, India

1932-2008
tayyār bahut mauj ravānī ke liye hai
lekin koī mushkil kahīñ paanī ke liye hai
logoñ ne agar mujh pe yahāñ tañg zamīñ kī
ik aur jagah naql-e-makānī ke liye hai
is bāb-e-jahāñ meñ ye tirā harf-e-shab-o-roz
mohtāj bahut apne ma.ānī ke liye hai
jis shahr kā ifrāt-e-mohabbat meñ thā shohra
mash.hūr ab us shai kī girānī ke liye hai
sunte hue sone pe jo aa.egā zamāna
ik moḌ mire paas kahānī ke liye hai
jalte hue dekhā hai kahīñ sham-e-havā ko
kaafī ye mujhe us kī nishānī ke liye hai
jaanā hai kahāñ us ne kisī shāḳh se jhaḌ kar
āvārgī hī barg-e-ḳhizānī ke liye hai
begār banā Daalā hai ik yaad ko tū ne
ye kaam kisī shaam suhānī ke liye hai
ye khoj jo har dar pe liye phirtī hai 'shāhīñ'
ik ghar meñ kisī shakl purānī ke liye hai
Top Urdushayar.com