is tarah karte haiñ kuchh log baḌā.ī us kī
ḳhalq us kī hai ḳhudā us kā ḳhudā.ī us kī
kyā ḳhabar thī ki yahīñ vasl ke saa.e ke qarīb
dhuup ke beach paḌī hogī judā.ī us kī
le ga.e shauq se marhūm kī har shai ahbāb
chhoḌ dī taaq ke uupar hī achchhā.ī us kī
kī hai iflās meñ doshīza-e-ummīd javāñ
ab to bas baiTh ke khānī hai kamā.ī us kī
zindagī kaTtī hai donoñ kī musalsal zid meñ
qaid hai merī vahī jo hai rihā.ī us kī
mo'atabar naam thā vo phir bhī havāla na diyā
jaañ bachāne ko qasam jhūTī na khaa.ī us kī
zindagī saarī gañvā duuñ ye zarūrī to nahīñ
ye bahut hai ki koī baat nibhā.ī us kī
ye mohabbat nahīñ kuchh aur hai sūrat 'shāhīñ'
tum maza le ke jo sunte ho burā.ī us kī