Abbas Rizvi

har taraf shor-e-fughan hai koi sunta hi nahin

Abbas Rizvi

Aligarh, Uttar pradesh, India

har taraf shor-e-fuġhāñ hai koī suntā hī nahīñ
qāfila hai ki ravāñ hai koī suntā hī nahīñ
ik sadā pūchhtī rahtī hai koī zinda hai
maiñ kahe jaatā huuñ haañ hai koī suntā hī nahīñ
maiñ jo chup thā hama-tan-gosh thī bastī saarī
ab mire muñh meñ zabāñ hai koī suntā hī nahīñ
dekhne vaale to is shahr meñ yuuñ bhī kam the
ab samā.at bhī girāñ hai koī suntā hī nahīñ
ek hañgāma ki is dil meñ bapā rahtā thā
ab karāñ-tā-ba-karāñ hai koī suntā hī nahīñ
kyā sitam hai ki mire shahr meñ merī āvāz
jaise āvāz-e-sagāñ hai koī suntā hī nahīñ
Top Urdushayar.com