Abbas Rizvi

guzar gaya wo zamana wo zaKHm bhar bhi gae

Abbas Rizvi

Aligarh, Uttar pradesh, India

guzar gayā vo zamāna vo zaḳhm bhar bhī ga.e
safar tamām huā aur ham-safar bhī ga.e
usī nazar ke liye be-qarār rahte the
usī nigāh kī be-tābiyoñ se Dar bhī ga.e
hamārī raah meñ saaya kahīñ nahīñ thā magar
kisī shajar ne pukārā to ham Thahar bhī ga.e
ye sail-e-ashk hai barbād kar ke chhoḌegā
ye ghar na pāoge dariyā agar utar bhī ga.e
sahar huī to ye uqda bhī tā.eroñ pe khulā
ki āshiyāñ hī nahīñ ab ke bāl-o-par bhī ga.e
bahut aziiz thī ye zindagī magar ham log
kabhī kabhī to kisī aarzū meñ mar bhī ga.e
shajar ke saath koī barg-e-zard bhī na rahā
havā chalī to bahāroñ ke nauhagar bhī ga.e
Top Urdushayar.com