ta.abīr ko tarse hue ḳhvāboñ kī zabāñ haiñ
tasvīr ke hoñToñ pe jo bosoñ ke nishāñ haiñ
āñkhoñ meñ tar-o-tāza haiñ jis ahd ke manzar
ham log usī ahd-e-guzishta meñ javāñ haiñ
nīlām hamārā bhī isī shart pe hogā
ham raunaq-e-bāzār haiñ jaise haiñ jahāñ haiñ
dil thā ki kisī sā.at-e-pur-ḳhūñ meñ huā sard
āñkheñ haiñ ki ab tak tirī jānib nigarāñ haiñ
dīvār pe likkhā hai ki ab sub.h na hogī
aur sāya-e-dīvār meñ ham raqs-kunāñ haiñ