hai ajab shaġhl mirā raat ke Dhal jaane tak
dekhtā rahtā huuñ taarā koī jal jaane tak
phir sulā degā use bahr kā ik gahrā sukūt
mastī hai mauj meñ sāhil pe machal jaane tak
kyā huā us kī girah meñ hai agar ik duurī
maiñ bhī to us kā huuñ bas us ke badal jaane tak
phir vahī maiñ mirā phir hogā vahī kār-e-jahāñ
baat saarī hai kisī ġham ke bahal jaane tak
vo zarūrat se ziyāda hī farāġhat thī ki maiñ
jis meñ phirtā rahā hasrat ke nikal jaane tak
merā ik uzr vo suntā rahā ḳhāmoshī se
aur maiñ baiThā rahā barf pighal jaane tak
rok rakhnī hai kahīñ ek jagah dard kī raat
kisī bīmār kī hālat ke sambhal jaane tak
rizq miTTī kā mirā ḳhuuñ nahīñ banñe vaalā
sub.h ke chehre pe ġhāza koī mal jaane tak
ain mumkin hai Thahar jaa.e kahīñ aaj kā din
aur ye Thahrā hī rahe yuuñ tire kal jaane tak
ek ātish hai ki dahkā.e hue rakhtī hai
kisī zanjīr ke halqoñ ke pighal jaane tak
maiñ bhī 'shāhīñ' use milne nahīñ jaane vaalā
us ke andar se kisī bal ke nikal jaane tak