Abbas Rizvi

hum tere husn-e-jahan-tab se Dar jate hain

Abbas Rizvi

Aligarh, Uttar pradesh, India

ham tire husn-e-jahāñ-tāb se Dar jaate haiñ
aise muflis haiñ ki asbāb se Dar jaate haiñ
ḳhauf aisā hai ki duniyā ke satā.e hue log
kabhī mimbar kabhī mehrāb se Dar jaate haiñ
raat ke pichhle pahar niiñd meñ chalte hue log
ḳhuun hote hue mahtāb se Dar jaate haiñ
shaad rahte haiñ isī jāma-e-uryānī meñ
haañ magar atlas-o-kamḳhvāb se Dar jaate haiñ
kabhī karte haiñ mubāraz-e-talabī duniyā se
aur kabhī ḳhvāhish-e-betāb se Dar jaate haiñ
jī to kahtā hai ki chaliye usī kūche kī taraf
ham tirī bazm ke ādāb se Dar jaate haiñ
ham to vo haiñ ki jinheñ raas nahīñ koī nagar
kabhī sāhil kabhī girdāb se Dar jaate haiñ
Top Urdushayar.com