dhuāñ sā phail gayā dil meñ shaam Dhalte hī
badal ga.e mire mausam tire badalte hī
simaTte phailte saa.e kalām karne lage
lahū meñ ḳhauf kā pahlā charāġh jalte hī
koī malūl sī ḳhushbū fazā meñ tair ga.ī
kisī ḳhayāl ke harf-o-sadā meñ Dhalte hī
vo dost thā ki adū maiñ ne sirf ye jaanā
ki vo zamīn pe aayā mire sambhalte hī
badan kī aag ne lafzoñ ko phir se zinda kiyā
hurūf sabz hue barf ke pighalte hī
vo habs thā ki tarastī thī saañs lene ko
so ruuh taaza huī jism se nikalte hī