maiñ us se duur rahā us kī dastaras meñ rahā
vo ek sho.ale kī sūrat mire nafas meñ rahā
nazar asiir isī chashm-e-mai-fashāñ kī rahī
mirā badan bhī mirī ruuh ke qafas meñ rahā
chaman se TuuT gayā barg-e-zard kā rishta
na aab o gil meñ samāyā na ḳhār-o-ḳhas meñ rahā
tamām umr kī be-tābiyoñ kā hāsil thā
vo ek lamha jo sadiyoñ ke pesh-o-pas meñ rahā
vo ek shā.er-e-āshufta-sar ki mujh meñ thā
havā kā saath na de kar havā ke bas meñ rahā
kisī ḳhayāl ke nashshe meñ din guzarte rahe
maiñ apnī umr ke unnīsveñ baras meñ rahā