jis ko ham samajhte the umr bhar kā rishta hai
ab vo rābta jaise rahguzar kā rishta hai
sub.h tak ye maujeñ bhī thak ke so hī jā.eñgī
chāñd kā samundar hai raat bhar kā rishta hai
ye jo itne saare dil saath hī dhaḌakte haiñ
kuchh qalam kā naata hai kuchh hunar kā rishta hai
tez haiñ to kyā ġham hai tund haiñ to shikva kyā
in havāoñ se apnā bāl-o-par kā rishta hai
is hasīñ tasavvur kā merī surḳh āñkhoñ se
aab o gil kā naata hai bām-o-dar kā rishta hai
ek nā-tavāñ rishta us se ab bhī baaqī hai
jis tarah duāoñ kā aur asar kā rishta hai