sitāre chāhte haiñ māhtāb māñgte haiñ
mire darīche na.ī āb-o-tāb māñgte haiñ
vo ḳhush-ḳhirām jab is raah se guzartā hai
to sañg-o-ḳhisht bhī izn-e-ḳhitāb māñgte haiñ
koī havā se ye kah de zarā Thahar jaa.e
ki raqs karne kī mohlat habāb māñgte haiñ
ajiib hai ye tamāshā ki mere ahd ke log
savāl karne se pahle javāb māñgte haiñ
talab kareñ to ye āñkheñ bhī in ko de duuñ maiñ
magar ye log in āñkhoñ ke ḳhvāb māñgte haiñ
ye ehtisāb ajab hai ki mohtasib hī nahīñ
rikāb thāmne vaale hisāb māñgte haiñ
sutūn-o-bām kī dīvār-o-dar kī shart nahīñ
bas ek ghar tire ḳhāna-ḳharāb māñgte haiñ