Abbas Rizvi

jab koi tir hawadis ki kaman se aaya

Abbas Rizvi

Aligarh, Uttar pradesh, India

jab koī tiir havādis kī kamāñ se aayā
naġhma ik aur mire mutrib-e-jāñ se aayā
ek nazzāre ne mere liye āñkheñ bhejīñ
dil kisī kārgah-e-shīsha-girāñ se aayā
jab bhī is dil ne tire qurb kī daulat chāhī
ek saaya sā nikal kar rag-e-jāñ se aayā
maiñ na Dartā thā anāsir kī sitam-koshī se
ḳhauf aayā to bas ik umr-e-ravāñ se aayā
kyā karūñ ḳhil.at o dastār kī ḳhvāhish ki mujhe
ziist karne kā salīqa bhī ziyāñ se aayā
maiñ to ik ḳhvāb ko āñkhoñ meñ liye phirtā thā
ye sitāra mire pahlū meñ kahāñ se aayā
Top Urdushayar.com