Fazl Geelani

hans kar main zindagi ki aziyyat uThaunga

Fazl Geelani

Dera Gazi Khan, Punjab, Pakistan

1977
hañs kar maiñ zindagī kī aziyyat uThā.ūñgā
tere liye sukūn ke lamhe banā.ūñgā
maiñ ne badal liyā hai ravayya havā-e-shab
ab tū diyā bujhā.egī maiñ phir jalā.ūñgā
chal hī paḌegī chāroñ taraf bād-e-nau-bahār
jab maiñ zamīñ pe āḳhirī pattā girā.uñgā
farzī hikāyatoñ pe na aañsū gañvāo tum
yaaro kabhī maiñ apnī kahānī sunā.ūñgā
phailāuñgā maiñ dāman-e-dil tere sāmne
tū sochtā hai maiñ tirā ehsāñ uThā.ūñgā
ik pal meñ ek vāqi.a rakkhūñgā dhyān meñ
aur dūsre hī pal meñ use bhuul jā.ūñgā
'sayyad' ab us kī raah meñ āñkheñ huiiñ safed
jo kah gayā thā tere liye lauT ā.ūñgā
Top Urdushayar.com