Fazl Geelani

badan ka ramz samajh ruh ka ishaara samajh

Fazl Geelani

Dera Gazi Khan, Punjab, Pakistan

1977
badan kā ramz samajh ruuh kā ishāra samajh
mujhe samajh na samajh dukh mirā ḳhudārā samajh
tujhe ham aur kisī kā na hone deñge kabhī
tū bhā gayā hai hameñ ḳhud ko ab hamārā samajh
jo tīrgī meñ tujhe kuchh dikhā.ī detā nahīñ
samajh meñ aa.e to is ko bhī ik nazāra samajh
nahīñ to vaqt hī samjhā.egā tujhe ik din
maiñ chāhtā huuñ mirī baat ko dobāra samajh
ki maiñ to apne bhī kuchh kaam aa nahīñ paayā
tujhe ye kis ne kahā thā mujhe sahārā samajh
ye kār-gāh-e-tilismāt hai yahāñ 'sayyad'
ḳhasāra naf.a samajh naf.a ko ḳhasāra samajh
Top Urdushayar.com