ek duuje ko jānte hī nahīñ
ab khulā hai ki ham vo the hī nahīñ
jitne patthar havā ke haath meñ haiñ
sar-e-ḳhāk itne aa.ine hī nahīñ
aisī hamvār rahguzar thī mirī
kahīñ sīdhe qadam paḌe hī nahīñ
ḳhvāb haiñ aur kuchh malāl bhī haiñ
aañkh meñ sirf ratjage hī nahīñ
sun udāsī ke vo charāġh haiñ ham
jal rahe haiñ kabhī bujhe hī nahīñ
un meñ uljhā huā hai kyuuñ 'sayyad'
yaar jo tere mas.ale hī nahīñ