Javed Shaheen

nazzara ajab uske gareban ki taraf tha

Javed Shaheen

Amritsar, Punjab, India

1932-2008

nazzāra ajab us ke garebāñ taraf thā

har aañkh ruḳh sīna-e-uryāñ taraf thā

maiñ dekh rahā thā kahīñ jaltī huī sham.eñ

aur dhyān mirā dūd-e-pareshāñ taraf thā

maiñ leTā rahā ghaas pe saa.e meñ baḌī der

aage safar saarā bayābāñ taraf thā

do rāste the ek jagah rāz-e-jahāñ meñ

ik ghar taraf dūsrā zindāñ taraf thā

kuchh paḌ gayā dīda-e-mushtāq meñ us vaqt

jab garm-e-tamāshā kisī maidāñ taraf thā

taare ki utar aa.e the ik dasht-e-balā meñ

mahtāb kisī qarya-e-vīrāñ taraf thā

baiThā thā kahīñ husn-e-numā.ish-gah-e-ġham meñ

ruj.hān zarā shohrat-e-arzāñ taraf thā

ye kaise huā kyuuñ maiñ nikal aayā sar-e-rāh

jaanā to mujhe kūcha-e-jānāñ taraf thā

mahfil meñ vo kartā rahā ik chor se hushiyār

aur us ishāra mire mehmāñ taraf thā

āsār the āñdhī meñ baḌī chup fazā meñ

ruḳh vaqt ke dhāre bhī tūfāñ taraf thā

vo qāfila-e-gul ke guzar jaane ḳhabar thī

uḌtā huā jo rañg gulistāñ taraf thā

ik haath thā duniyā mirī jeb pe 'shāhīñ'

jo dūsrā thā mere garebāñ taraf thā

Top Urdushayar.com