ajab Thahrāv thā jis meñ masāfat ho rahī thī
ravāna bhī nahīñ thā aur hijrat ho rahī thī
banāyā jā rahā thā canvas par zard sūraj
ubhārā jā rahā thā naqsh hairat ho rahī thī
kahīñ jaatā nahīñ thā maiñ kahīñ aatā nahīñ thā
yaqīñ aatā nahīñ thā aisī hālat ho rahī thī
mirā us ke binā to jī zarā lagtā nahīñ thā
udāsī lauT aa.ī thī masarrat ho rahī thī
charāġh ek ek kar ke raushnī karne lage the
mujhe in sab charāġhoñ se mohabbat ho rahī thī
nayā ik baaġh thā aur is ko kaaTā jā rahā thā
parindoñ ko abhī peḌoñ kī aadat ho rahī thī
bichhaḌ jaane kā kuchh kuchh ḳhauf bhī hone lagā thā
mujhe us ke ravayye par bhī hairat ho rahī thī
nahīñ thī zindagānī bhī vahāñ hasab-e-tamannā
mohabbat bhī vahāñ hasb-e-zarūrat ho rahī thī
ye aañsū to na the jo bah rahe the hijr-e-gul meñ
ye ḳhushbū thī jo āñkhoñ se rivāyat ho rahī thī
mujhe ḳhud meñ koī sahrā mayassar aa gayā thā
uḌaa.ī jā rahī thī ḳhaak vahshat ho rahī thī
mukammal bad-gumānī ho ga.ī thī us ko 'sayyad'
palaTne meñ mujhe bhī ab suhūlat ho rahī thī