Fazl Geelani

gar nahin hai to mere yan nahin hai

Fazl Geelani

Dera Gazi Khan, Punjab, Pakistan

1977
gar nahīñ hai to mere yaañ nahīñ hai
rā.egānī kahāñ kahāñ nahīñ hai
jise mauj-e-havā uḌaa.e phire
ye mirā jism hai dhuāñ nahīñ hai
maiñ vahāñ bhī nahīñ jahāñ maiñ huuñ
tū vahāñ bhī hai tū jahāñ nahīñ hai
ab to khul kar milā karo mujh se
ab mohabbat bhī darmiyāñ nahīñ hai
baat karnī hai jānte hue bhī
is jagah jaan kī amaañ nahīñ hai
kal yahāñ ek peḌ thā 'sayyad'
aur ab duur tak nishāñ nahīñ hai
Top Urdushayar.com