ham jo ik lahr meñ lahrāte hue jhūmte haiñ
kyuuñ na aisā ho ki ham saath tire jhūmte haiñ
raqs-e-darvesh kā ye silsila duniyā se na joḌ
ham kisī aur hī lazzat ke liye jhūmte haiñ
aisī manzil pe le aayā hai mirā raqs mujhe
ab ka.ī silsile bhī saath mire jhūmte haiñ
Dol jaa.e na tire Dolne se partav-e-nūr
tere hamrāh ka.ī sham.a-kade jhūmte haiñ
zarā dekho to sahī ahl-e-mohabbat kī taraf
kitnī sarmastiyāñ āñkhoñ meñ liye jhūmte haiñ
raushnī raaz hai aisā ki samajh aane par
kitne sar ghūmte haiñ kitne diye jhūmte haiñ
maiñ akelā to nahīñ jhuum rahā huuñ 'sayyad'
taare bhī saath mire raat ga.e jhūmte haiñ