tamām umr kabhī mujh se hal huā hī na thā
vo mas.ala jo haqīqat meñ mas.ala hī na thā
badan se jis kī thakan aaj tak nahīñ utrī
maiñ us safar pe ravāna kabhī huā hī na thā
kuchh is liye bhī mujhe hijr meñ suhūlat hai
tirā visāl kabhī merā mudda.ā hī na thā
badan kā bhed khulā hai tirā badan chhū kar
ye misra.a mujh pe vagarna kabhī khulā hī na thā
isī liye to mujhe lauTnā paḌā 'sayyad'
ki mere paas koī aur rāsta hī na thā