tīr-andāzoñ ko andāza nahīñ
zad meñ aanā thā jise aayā nahīñ
kuchh tasavvur kuchh tavaqqo kuchh gumāñ
ye bhī kyā ḳhvāboñ kā ḳhamyāza nahīñ
saarī bastī meñ faqat ik terī zaat
qibla-o-ka.aba sahī ka.aba nahīñ
jis havā meñ tū hai āqā-e-chaman
koī bhī jhoñkā vahāñ taaza nahīñ
dhuul kī ā.ankhoñ meñ jā hotī nahīñ
paañv meñ lagtā kabhī surma nahīñ
hai khaḌā sāhil pe lahroñ se pare
paar jaane par vo āmāda nahīñ
chāhtā hai tū jo taz.īn-e-vafā
phuul lā kāñToñ kā gul-dasta nahīñ
apne dil meñ aap hī rahtā hai vo
dūsrā kyā us meñ rah saktā nahīñ
āsmāñ ḳhāmosh ho aur log chup
der tak ye silsila chaltā nahīñ