jo nahīñ lagtī thī kal tak ab vahī achchhī lagī
dekh kar us ko jo dekhā zindagī achchhī lagī
thak ke sūraj shaam kī bāñhoñ meñ jā kar so gayā
raat bhar yādoñ kī bastī jāgtī achchhī lagī
muntazir thā vo na ham hoñ to hamārā naam le
us kī mahfil meñ hameñ apnī kamī achchhī lagī
vaqt-e-ruḳhsat bhīgtī palkoñ kā manzar yaad hai
phuul sī ā.ankhoñ meñ shabnam kī namī achchhī lagī
dā.ere meñ apne ham donoñ safar karte rahe
barf sī donoñ jazīroñ par jamī achchhī lagī
ik qadam ke fāsle par donoñ aa kar ruk ga.e
bas yahī manzil safar kī āḳhirī achchhī lagī