Javed Shaheen

main ek aatish-e-gham ki KHabar ke pichhe hun

Javed Shaheen

Amritsar, Punjab, India

1932-2008
maiñ ek ātish-e-ġham kī ḳhabar ke pīchhe huuñ
usī se TuuTe hue ik sharar ke pīchhe huuñ
bahut hī ajnabī dastak hai sun rahā huuñ use
aur ek Dar meñ giraftār dar ke pīchhe huuñ
kise tū DhūñDhtā phirtā hai sard kamroñ meñ
maiñ dhuup se bhare maidāñ meñ ghar ke pīchhe huuñ
ziyāda Thiik hai vāmāñdgī use kahnā
jo kah rahā huuñ ki maiñ rahguzar ke pīchhe huuñ
haiñ māh-o-sāl hī aise samajh nahīñ aatī
ki aage shaam ke hoñ yā sahar ke pīchhe hoñ
ye ḳhūnīñ khel hai roz-e-azal se jaarī hai
vo merī jaan ke maiñ us ke sar ke pīchhe huuñ
ye tīr-e-marg hai mumkin nikalnā is se nahīñ
yahīñ kahīñ maiñ kisī ek dar ke pīchhe huuñ
hasab se naam se izzat se mujh ko kyā lenā
havas kā banda huuñ bas māl-o-zar ke pīchhe huuñ
mire kalām meñ 'shāhīñ' na kar talāsh mujhe
chhupā huā kisī dast-e-hunar ke pīchhe huuñ
Top Urdushayar.com