hamāre shahr kā dastūr baabā
pareshāñ-hāl har mazdūr baabā
hue ḳhalvat-nashīñ haiñ log kāmil
jo nāqis haiñ vahī mash.hūr baabā
nahīñ dekhe kisī ne un ke chehre
kahāñ ġhilmāñ kahāñ hai huur baabā
chale haiñ hissa lene dauḌ meñ phir
hamāre shahr ke ma.azūr baabā
mujhe yaad aa rahī hai 'mus.hafī' kī
ġhazab the 'mīr' bhī maġhfūr baabā