vo ab numā.ish-e-sair-o-safar se bāhar hai
ye mere saath magar rahguzar se bāhar hai
vahī muqīm hai jo apne ghar se bāhar hai
ki jitnā saaya hai saarā shajar se bāhar hai
mire ḳhudā ye tab-o-tāb-e-saf.ha kaisī hai
jo likh rahā huuñ vo kilk-e-hunar se bāhar hai
zamīr-e-ḳhāk ko ab zahar hī likho ya.anī
ilaaj us kā kaf-e-chāra-gar se bāhar hai
chalo namāz paḌheñ aur qarīb le aa.eñ
shajar duā kā hamārī sahar se bāhar hai
asiir hai mirī khīñchī huī lakīroñ kā
ye vahm hai ki vo mere asar se bāhar hai
ye ijz hai ki qanā.at hai kuchh nahīñ khultā
bahut dinoñ se vo ḳhair-o-ḳhabar se bāhar hai
na jaane kyā hai kisī chaak par Thahartī nahīñ
hamārī ḳhaak gil-e-kūza-gar se bāhar hai