dāmān-e-shab meñ chāñd kā manzar bhī dekh le
sone se pahle kamre se bāhar bhī dekh le
in mausamoñ kī raah meñ yuuñ be-ḳhabar na baiTh
rahtā hai kaun kaun safar par bhī dekh le
gum-sum rakhegī tujh ko kahāñ tak vo ek yaad
muñh se haTā ke mailī sī chādar bhī dekh le
dhundlā rahī hai der se sham-e-badan kī lau
koī ġhubār saañs ke andar bhī dekh le
ābād zer-e-āb haiñ Duube hue nagar
yādoñ ke pāniyoñ meñ utar kar bhī dekh le
fursat mile to khol chhupe ḳhvāhishoñ ke raaz
gunjān jañgaloñ se guzar kar bhī dekh le
'shāhīñ' badan bhī zer kiyā jaañ bhī zer kar
dasht-e-balā se aage samundar bhī dekh le