Abul Hasanat Haqqi

tamam hijr usi ka visal hai us ka

Abul Hasanat Haqqi

tamām hijr usī kā visāl hai us kā
maiñ jī rahā huuñ magar jaan o maal hai us kā
vo ziina ziina utarne lage to sab bujh jaa.e
vo baam par hai to sab māh-o-sāl hai us kā
maiñ qatl ho ke bhī sharminda apne-āp se huuñ
ki is ke ba.ad to saarā zavāl hai us kā
ugal rahī haiñ ḳhazāne khulī huī āñkheñ
ḳhabar karo ki ye sar pā.emāl hai us kā
hazār saal se huuñ tishna-e-savāl-o-javāb
maiñ itnā pyāsā huuñ sonā muhāl hai us kā
uThā.e haath to añgḌā.ī isti.āra bane
vo tāb-o-tab hai ki har dil ġhazāl hai us kā
qadam qadam shajar-e-sāya-dār paidā hai
ki mere saath safar meñ ḳhayāl hai us kā
vo le ke aayā hai apnī sarisht meñ shabnam
safar bhī jānib-e-bād-e-shimāl hai us kā
nigāh uTThe to shā.ista-e-junūñ ho jaa.eñ
havas ko said kare vo jamāl hai us kā
ḳhabar nahīñ thī ki yuuñ us meñ Duub jā.eñge
hamāre chehre pe rañg-e-malāl hai us kā
kabhī kabhī to baḌe zor se dhaḌaktā hai
ye merā dil nahīñ koī kamāl hai us kā
jo aayā hijr kā mausam to kyā kareñge ham
jo tajrabe meñ nahīñ vo savāl hai us kā
Top Urdushayar.com