Abul Hasanat Haqqi

ye ek aur humne qarina kiya

Abul Hasanat Haqqi

ye ik aur ham ne qarīna kiyā
dar-e-yār tak dil ko ziina kiyā
badal dī hai sab sūrat-e-āb-o-ḳhāk
magar jab lahū ko pasīna kiyā
vo kashtī se dete the manzar kī daad
so ham ne bhī ghar kā safīna kiyā
kahāñ ham tak aayā koī raaz jo
kahāñ ham ne dil ko dafīna kiyā
faqīroñ kā ye bhī tilismāt hai
lahū rañg ko ābgīna kiyā
chamakne lagā phir ġham-e-rā.egāñ
magar ek jab zaḳhm-o-sīna kiyā
Top Urdushayar.com