shikast-e-ahd par is ke sivā bahāna bhī kyā
ki us kā koī nahīñ thā mirā Thikāna bhī kyā
ye sach hai us se bichhaḌ kar mujhe zamāna huā
magar vo lauTnā chāhe to phir zamāna bhī kyā
maiñ har taraf huuñ vo aa.e shikār kar le mujhe
jahāñ hadaf hī hadaf ho to phir nishāna bhī kyā
vo chāhtā hai salīqe se baat karne lagūñ
jo itnī sach ho banegī bhalā fasāna bhī kyā
usī ravish par chalo zindagī guzār aa.eñ
sivā.e is ke kareñ harf ko bahāna bhī kyā
jo lafz bhūlnā chāhūñ vo yaad aatā hai
mirī sazā ke liye aur tāziyāna bhī kyā
ab us galī meñ hai kyā intizām ke laa.eq
to phir risāla-e-dil ko kareñ ravāna bhī kyā
farāz-e-māh bhī pahnā.īyāñ bhī raushan haiñ
charāġh jaltā hai koī tah-e-ḳhazāna bhī kyā
jahāñ bhī jā.ūñ vahī intizār kī sūrat
vo mujh ko chāhe magar itnā vālihāna bhī kyā
mirā vajūd nahīñ ḳhānqāh se bāhar
magar fishār-e-ġhazal meñ ye sūfiyānā bhī kyā