tamannā ko gul-o-gulzār karnā
mire dasht-e-talab ko paar karnā
mire mālik mujhe āsān kar de
guzar har-samt se ik baar karnā
mujhe bhī rafta rafta aa gayā hai
ḳhud apne kaam ko dushvār karnā
nahīñ yāroñ meñ sach sunñe kā yaarā
barahna mastī-e-guftār karnā
maiñ tanhā.ī meñ baiThā ro rahā huuñ
bahut achchhā lagā thā pyaar karnā