shab ko har rañg meñ sailāb tumhārā dekheñ
aañkh khul jaa.e to dariyā na kinārā dekheñ
dasht-e-āġhosh meñ ram-ḳhurda chikārā dekheñ
ye hasīñ ḳhvāb bhī ik roz qazārā dekheñ
jaane kyā sūrat-e-hālāt raqam thī us meñ
jo varaq chaak huā us ko dobārā dekheñ
niiñd aa.e bhī to tasbīh-e-badan karte hue
aur phir saath uTheñ sub.h kā taarā dekheñ
dekhte dekhte gum ho ga.e jal-thal se vo log
aish ko chaak kareñ dard ko pyārā dekheñ