naqsh-e-yaqīñ tirā vajūd-e-vahm bujhā gumāñ bujhā
kār-e-habīb ke tufail rauzan-e-rā.egāñ bujhā
fard-e-siyāh ko mirī nok-e-sināñ pe laa.e the
un kī nigāh paḌ ga.ī arsa-e-imtihāñ bujhā
mast-ravī ke darmiyāñ kaun qadam qadam gine
mish.al-e-dil kahāñ jalī sho.ala-e-jāñ kahāñ bujhā
mere junūñ kā silsila marhala-vār ho gayā
pahle zamīn bujh ga.ī ba.ad meñ āsmāñ bujhā
razm-e-gah-e-hayāt meñ maiñ na utar sakā kabhī
ishq-e-zamāna-ḳhez meñ saarā yahāñ vahāñ bujhā
shauq ke dasht kho ga.e shahr sarāb ho ga.e
bārish-e-zar huī bahut halqa-e-tishnagāñ bujhā
'haqqī'-e-dil-girafta ke bas meñ na jaane kab nahīñ
hijr meñ shād-kām thā vasl ke darmiyāñ bujhā